Monday, November 30, 2009

ciggarette

Band dabbey mein aati hun,
is haath se us haath,
is honth se us honth hoti hun,
phir phenk di jaati hun,
sukoon sirf is baat ka hai,
hur subeh main hi sabse pehle yaad aati hun..

Sunday, November 22, 2009

Abhay

Another year went by,

another phase passes by,

u shalt always fare,

for the sky, the winds, the rivers

the sun, the moon never tire,

imaginations too fail to dare,

for you shalt always be there,

"humm", "humm", "humm",

notorious were you though,

but the smile, the mimic, the acts,

would always be there,

and with Abhay the name,

we always care, for the love,

the being, the soul is always here.

Tuesday, February 3, 2009

fareb kiya tha unhoney yeh kehkey ki ab hum nahi is duniya mein,

jab bhi chaand ko dekhta hun to unka muskuruta hua chehra hi nazar aata hai.

Saturday, January 17, 2009

waqt...!!!

Tere jaaney ka ehsaas mujhey tab hua jab waqt kam tha,

waqt ki kya misaal doon, her marz ki dawaa kehtein hai jisey,

saath chhodney ko hua to zindagi bhar ka waqt mila,

do lamhon ke saath ki riyayat jab maangi to kambakht isi waqt ne nabz kaat di.

Friday, January 16, 2009

justuju..!!!!

meri doobti kashti ko sahara sa kya diya,

jaati si zindagi ko waapas aaney ka ishara sa mil gaya,

teri aagosh mein baith kar sochta hun,

teri zulfoon ki chaaon mein ek nayi se duniya dekhta hun,

izzazat de mujhey apni mohabbat ka izhaar karney ka,

aarzoo-e-zindgi bayaan karney ka,

agar ho teri justuju sahara deke saath chhudaaney ki,

aansoon ki do boond se meri janaazey ka istekbaal karna,

her beetey lamhon ko apney aanchal mein samhaaley rakhna,

meri justuju itni thi ki maut ek hi baar ho,

teri mohabbat mein dubara maut ko kabul karney ka hausla mil gaya.