Saturday, January 17, 2009

waqt...!!!

Tere jaaney ka ehsaas mujhey tab hua jab waqt kam tha,

waqt ki kya misaal doon, her marz ki dawaa kehtein hai jisey,

saath chhodney ko hua to zindagi bhar ka waqt mila,

do lamhon ke saath ki riyayat jab maangi to kambakht isi waqt ne nabz kaat di.

No comments: