meri doobti kashti ko sahara sa kya diya,
jaati si zindagi ko waapas aaney ka ishara sa mil gaya,
teri aagosh mein baith kar sochta hun,
teri zulfoon ki chaaon mein ek nayi se duniya dekhta hun,
izzazat de mujhey apni mohabbat ka izhaar karney ka,
aarzoo-e-zindgi bayaan karney ka,
agar ho teri justuju sahara deke saath chhudaaney ki,
aansoon ki do boond se meri janaazey ka istekbaal karna,
her beetey lamhon ko apney aanchal mein samhaaley rakhna,
meri justuju itni thi ki maut ek hi baar ho,
teri mohabbat mein dubara maut ko kabul karney ka hausla mil gaya.
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
2 comments:
justju thi tere ishq me "barbad" hone ki
bas ishq hi to naa hua "barbad" ho gaye
sahi hai sir ji....likhte raho aur lage raho kyon ki.... kahi to hogi wo duniyaa jahan tu mere saath hai.............
this is saurabh..
ye to vaakaii kabil-e-taarif hai janab..lagta hai ki huzur ne urdu ka jo istemaal kiya hai ..khuda kasam hamre rooh ke zarre-zarre ne maa-badaulat ke takhallush ki adayegi pe fanna hone ki tamanna zahir ki hai...hamein aap apne kadradno me manein to hamari khuskismati pe hamein naaz hoga....
Post a Comment